Kitni baatein he jo yaad aayengi

Kitni baatein he jo yaad aayengi,
Kitne kisse jo dohraye jayenge,
Hum bhulna chahe to bhi bhul na payenge,
Itna sab ho gaya, bas ek saal me,
Itna kuch sikh liya, bas baat baat me,


Pehle muskurahatein mili jo matlabi nikli,
Phir matlab mila jindagi ka, hum mushkura uthe,
Phir mushkurahato ka mol pucha kisine,
Hum kya jawab de, ye abhi tak sujha nahi hume,
Kabhi karte he koshish sawaal samjhne ki,
Kabhi apne jawabo ko tola karte he,
Kuch chijo ki koi had nahi hoti,
Hum aakhir itna kyun socha karte he,
In sawaalo ko koi jawaab he hi nahi,
Waqt ki baat he bas, magar vo samajhta hi nahi.
 
 Muskulein bahut thi, khud par barosa nahi tha,
Aise aise alam dekhe, jinke bare me kabhi socha nahi tha,
Sahare bahut the har taraf, magar hume akele paar jana tha,
Sab sahkar, chup rahkar, apna kaam karte jaana tha,
Waqt to waqt he, use kahan thahar pana tha,
Vo he na upar, bas sab paar ho gaya,
Hum dil ke saaf he, shayaad isiliye vo humare sath ho gaya,
Aur, waqt ki baat he, kahne ke moke bhi mile,
aur humse kuch choke bhi lage.
 
Nayi jagah, naye log, nayi baatein aur nayi samajh,
Log aise bhi mile jinhone humari hoshiyari tolni chahi,
Aur jab hume jaan liya to apni hoshyari chod di saari,
Log aise bhi mile, jinhone samjha nahi humne kya kaha,
Aur jab samjha, to ab bhi kahte hein, kya khub kaha.
 
 
Is saal jo kiya dil se kiya, Dil me job hi tha sab kaha,
Ye saal accha bhi tha, bura bhi,
Ma kahti he, sab he bhawan ki ichha hi,
Kitna kuch naya tha karne ko saal bhar,
Kitna kuch badla tha, aas paas har taraf,
Kitna kuch pada, sikha, kaha, kiya,
Ye saal sirf apne liye nahi jiya
Phir bhi, is saal me apni jindagi ko meine kitna ji liya,
Heran hu, hawaon se jeet gaya ye mamuli sa diya.
 
FCA. Ankur Chaplot

29th December, 2012

Comments