Tere bina adhuri.....



Kuch to hoga aankhon me meri,
Jise tum padane ki khwahish rakhte ho,
Jab me dub jati hu, tumhari aankhon me,
Tab tum meri aankhon me kya khojate ho,
Laherein jaise samandar ki tikti nahi ek jagah par,
Tumhara man bhi bas usi tarah rukta nahi kahin par,
Sochati tum tham lu tumko is tarah pyaar se,
Samandar jaise he rahta dharti ki panah me,
Machalta bhi he, Ufanta bhi he,
Paas aata bhi he, Dur jata bhi he,
Phir palat ke aake apna pyaar jatata bhi he,
Gahra bhi he aur shaant bhi,
Kabhi thahra, kabhi pareshaan bhi,
Kabhi heraniyon se bhara hua,
Kabhi masoom muskan se saja hua,
Kabhi namkin sa, kabhi sada saral,
Kabhi pehali aisi jiska nahi koi hal,
Kabhi dil ki kuch khaas khwahiyon sa simta hua,
Kabhi duniya ke riwajon sa uljha hua,
Kabhi apni hi pehchaan chipata hua,
Khud ko sab se kam batata hua,
Pardesi ajab, teri sab se pehchaan he,
Paheli gajab, tu khud se anjaan he,
Na tu chalta he, na thaharta he tu,
Phir bhi har taraf bas tera mukam he,
Tu samandar he mera, mera sansaar he,
Mein dharti hu teri, tujhme hi dubi hui,
Tere bina thi adhuri, ab puri hui.

- Ankur Chaplot Jain 15/07/2013

Comments